Lyrics
Hai Kitna A'ala Tumhaara Rutba Imaame A'azam Abu Hanifa,
Ke Taba'i Ka Sharaf Hai Paaya Imaame A'azam Abu Hanifa.
Abu Hanifa Hai Kunniyat Aur Hai Naam Nu'maan Ibne Saabit,
Imaame A'azam Laqab Hai Paaya Imaame A'azam Abu Hanifa.
Ba Chashme Khud Aapne Hai Chhabbis Dostaane Nabi Ko Dekha,
Buland Tar Aapka Hai Darja Imaame A'azam Abu Hanifa.
Khuda Ka Hai Din Laaye Aaqua Sahaaba Phelaaye Hai'n Usi Ko,
Tu Sab Se Pehle Likhaane Waala Imaame A'azam Abu Hanifa.
KisiNe Ek Sathh, KisiNe Sad Sathh, KisiNe Sattar, KisiNe Assi,
Teri Wilaadat Ko Hai Bataaya Imaame A'azam Abu Hanifa.
Duae Moula Ali Ki Maqbuliyat Ye Dekhe'n Hai Rang Laayi,
Zamaane Bhar Me Jo Aaj Chamka Imaame A'azam Abu Hanifa.
Nasab Me Hai'n Aathh Ambiya Aur Nasab Me Hi Saula Baadshaah Hai'n,
Mizaaj Phir Bhi Hai Mukhlisaana Imaame A'azam Abu Hanifa.
Bade Bade Auliyaa Guzre Hai'n Jinme Aksar Tere Muqallid,
Tu Sab Ka Rahbar Tu Sab Ka Aaqua Imaame A'azam Abu Hanifa.
Ba Fazle Rab Zindagi Me Pachpan Imaam Ne Haj Ada Kiye Hai"n,
Khuda Ki Yu'n Ma'arifat Ko Paaya Imaame A'azam Abu Hanifa.
Khuda e Bartar Ne Aap Ko Hai Bulandiyaa'n Is Qadar Ata Ki,
Nahi'n Tere Paaye Ka Hai Paaya Imaame A'azam Abu Hanifa.
Ata Ho Ilme Fiqh Se Qatra Huzur Is Aale Mustafa Ko,
Ke Aap Saaqi Hai'n Mei'n Hu'n Piyaasa Imaame A'azam Abu Hanifa.
✒️ Awulaade Huzur Gause A'azam Shahzaadah E Huzur Zahire Millat Alam Bardaare Maslake A'ala Hazrat Pire Tariqat Hazrat Allaama Wa Maulaana
SAIYED MUHAMMAD AALE MUSTAFA DAADA BAAPU QUADIRI BARKAATI
Qadim Markaze Ahle Sunnat Khanquahe Aaliya Quadiriyyah Razzaaqiyyah Shaah Rizqullaah,Shaah Gauhar Piya
(Jafarabad,Sharif,Kathhiyawad, Gujrat,India)