Lyrics
Aashiqe Mustafa Ahsanul Awliya,
Naaibe Murtaza Ahsanul Awliya.
Dilbare Fatima Ahsanul Awliya,
Hai Hasan Ki Ata Ahsanul Awliya.
Kufr Ki Chhat Gayi Pal Me Kaali Ghata,
Chaaro'n Jaanib Ujaala Ujaala Hua.
Roshni Din Ki Baa'ntne Jab Chala,
Nur Waala Mera Ahsanul Awliya.
Fatima Zehra Ka Jo Hai Lakhte Jigar,
Aur Hai Maula Ali Ka Jo Nure Nazar.
Aur Hai Jo Saiyedul Awliya Ka Pisar,
Ghaus Ka Laadla Ahsanul Awliya.
Ghause A'zam Se Waasil Gharaana Tera,
Kodinar Asl Me Hai Thikaana Tera.
Ghoghla Diu Me Aastaana Tera,
Waah Jannat Numa Ahsanul Awliya.
✒️ Awulade Huzur Gause A'azam Shazaada E Huzur Zahire Millat Alam Bardaare Maslake A'ala Hazrat Pire Tariqat Hazrat Allaama Wa Maulaana
SAIYED MUHAMMAD AALE MUSTAFA DAADA BAAPU QUADIRI BARKAATI
Qadim Markaze Ahle Sunnat Khanquahe Aaliya Quadiriyyah Razzaaqiyyah Shaah Rizqullaah, Shaah Gauhar Piya
(Jafarabad,Sharif,Kathhiyawad, Gujrat,India)
