
Lyrics
Zindah Behre Kibriya Dekha Tujhe,
Hum Ne Behre Mustafa Dekha Tujhe.
Apne Murshid Par Fida Dekha Tujhe,
Aashiqe Ahmed Raza Dekha Tujhe.
Jis Ne Bhi Dekha Mere Mahmud Jaan,
Sachcha Abdul Mustafa Dekha Tujhe.
Ishqe Sarkare Do Aalam Ke Tufail,
A'ala Hazrat Par Fida Dekha Tujhe.
Martabe Me Kis Ne Kya Dekha Tujhe,
Arze Duniya Par Samaa Dekha Tujhe.
Neek Khaslat, Neek Aadat, Neek Dil,
Neek Tinat, Paarsa Dekha Tujhe.
A'ala Hazrat Ne Khilaafat Ke Liye,
Laaiqo Faaiq, Bhala Dekha Tujhe.
Zindagi Saari Guzaari Din Par,
Aashiqe Khairul Wara Dekha Tujhe.
Dekhne Waalo'n Ne Be Shak Umr Bhar,
Ba Shar'a Aur Ba Safa Dekha Tujhe.
Din,Maslak,Sunniyat Me Bilyaqi'n,
Partave Hazrat Raza Dekha Tujhe.
Maslake Ahmed Raza Ka Aaj Bhi,
Paasbaa'n Aur Peshwa Dekha Tujhe.
Shaah Zahire Quadiri Ki Dayn Hai,
Mai'n Ne Jo Kuchh Kah Diya Dekha Tujhe.
Faize Gauhar Se Mere Ash'aar Me,
"Saiyed Aale Mustafa" Dekha Tujhe.
✒️ Awulaade Huzur Gause A'azam Shazaada E Huzur Zahire Millat Alam Bardaare Maslake A'ala Hazrat Pire Tariqat Hazrat Allaama Wa Maulaana
SAIYED MUHAMMAD AALE MUSTAFA DAADA BAAPU QUADIRI BARKAATI
Qadim Markaze Ahle Sunnat Khanquahe Aaliya Quadiriyyah Razzaaqiyyah Shaah Rizqullaah,Shaah Gauhar Piya
(Jafarabad,Sharif,Kathhiyawad Gujrat,India)
More Related Kalaam
Explore more Naat Sharif, Hamd and Manqabat from this blessed collection
Paida jo agar Shafi-e-Mahshar nahin hota, Rahmat bhara aalam ka ye manzar nahin hota. Jis dil mein ho aaqa ki muhabbat ka basera,
Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina, Dikha De Dare Mustafa Ba Qarina. Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina.
Rab Ki Rahmat Idhar Kodinar Me Hai, Mustafa Ki Nazar Kodinar Me Hai. Aale Khairul Bashar Kodinar Me Hai,
Gause A'azam Ne Tujhe Gause Zamaana Kar Ke Hind Me Bheja Ye Ahsaan Hai Rizqullaah Shaah Gausiyat Waali Teri Shaan Hai Rizqullaah Shaah
