
Lyrics
Paida jo agar Shafi-e-Mahshar nahin hota,
Rahmat bhara aalam ka ye manzar nahin hota.
Jis dil mein ho aaqa ki muhabbat ka basera,
Wallah wo hargiz kabhi khandhar nahin hota.
Ishq-e-Rasool pinhan agar qalb mein hota,
Hota gulab jaisa ke keekar nahin hota.
Dushman hai wo apna bhi saga bhai ho to kya,
Dushman nabi ka apna baradar nahin hota.
Qurb-e-Raza na chhode jo sunni ho tanatan,
Rehta hai un se door jo katar nahin hota.
Radd-e-Wahabiyat ka jo munkar hai to sun le,
Kalma badal de Zeba ye tujh par nahin hota.
Wo kaam tu ne karke dikhaya bade miyan,
Jo Deobandiyon se bhi khul kar nahin hota.
Aiwan ye masjood mein laga di hai screen,
Sun lijiye masjid kabhi theater nahin hota.
Ban baithe hain ameer jo hain jahil-e-mutlaq,
Jahil kabhi bhi deen ka rahbar nahin hota.
Hain lakhon hazaron jo dikhate hain rasta,
Har rah dikhane wala to rahbar nahin hota.
Karta na sunniyon ke aqeede ki hijamat,
Soofi ki shakl mein jo tu Babar nahin hota.
Zikr-e-Rasool raqs-kunan be-adabi hai,
Aamil ho sunnaton ka wo dancer nahin hota.
Ae kash bazahir abhi Ahmad Raza hote,
Jeena hamara is tarah dubhar nahin hota.
Napa Zaheeri Qadri ne sab ko phir kaha,
Akhtar Raza ke koi barabar nahin hota.
Ghere hain charon samt se be-dal ke bodam,
Kya hota chaman ka agar Akhtar nahin hota.
Khane ko bhi taraste aur peene ko taraste,
Jari jo har soo aaqa ka langar nahin hota.
Darbar-e-Mustafa hai "Sayyid Aal-e-Mustafa",
Alhamdulillah, varna koi dar nahin hota.
✍️ Awulaade Huzur Gause A'azam Shazaada E Huzur Zahire Millat Alam Bardaare Maslake A'ala Hazrat Pire Tariqat Hazrat Allaama Wa Maulaana
SAIYED MUHAMMAD AALE MUSTAFA DAADA BAAPU QUADIRI BARKAATI
Qadim Markaze Ahle Sunnat Khanquahe Aaliya Quadiriyyah Razzaaqiyyah Shaah Rizqullaah, Shaah Gauhar Piya
(Jafarabad,Sharif,Kathhiyawad, Gujrat,India)
More Related Kalaam
Explore more Naat Sharif, Hamd and Manqabat from this blessed collection
Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina, Dikha De Dare Mustafa Ba Qarina. Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina.
Rab Ki Rahmat Idhar Kodinar Me Hai, Mustafa Ki Nazar Kodinar Me Hai. Aale Khairul Bashar Kodinar Me Hai,
Gause A'azam Ne Tujhe Gause Zamaana Kar Ke Hind Me Bheja Ye Ahsaan Hai Rizqullaah Shaah Gausiyat Waali Teri Shaan Hai Rizqullaah Shaah
Karam kardo mere Sarkar Ya Ghaus Dikha do phir mujhe Darbar Ya Ghaus Jo tere dar ka hai mohtaj Maula
