
Lyrics
Rahmato Anwaar Me Ghotah Laga Kar Dekhiye,
Sunniyo'n! Mizaabe Rahmat Me Naha Kar Dekhiye.
Laaye'nge Tashrif Dil Me Sarware Kauno'n Makaa'n,
Apne Dil Ko Un Ke Jalwo'n Se Saja Kar Dekhiye.
Dil Lagi Kehte Hai'n Kis Ko Yeh Pata Chal Jaayega,
Taajdaare Ambiya Se Dil Laga Kar Dekhiye.
Raushni Hi Raushni Ho Jaayega Tarik Dil,
Dil Me Un Ke Ishque Ki Sham'a Jala Kar Dekhiye.
Aap Ke Qadmo'n Ko Chumegi Baqa Ki Manzile'n,
Mustafa Ke Ishq Me Khud Ko Fana Kar Dekhiye.
Haaziro Naazir Hai'n Aaqua Aaye'nge Imdaad Ko,
Ya RasulAllaah Ka Na'ara Laga Kar Dekhiye.
Hai Woh Sunni Ya Wahaabi Jaa'nchne Ke Waaste,
Maslake Ahmed Raza Na'ara Laga Kar Dekhiye.
Khud Ba Khud Karne Lago Ge Ta'zime Ahmed Raza,
Ishqe Mahbube Khuda Dil Me Basa Kar Dekhiye.
A'ala Hazrat Ki Raza Haasil Tumhe'n Ho Jaayegi,
Khidmate Saadaat Me Umre'n Bita Kar Dekhiye.
Shaah Zahire Quadiri Ki Ruh Khush Ho Jaayegi,
Tazkira Ahmed Raza Ka Jaa Ba Jaa Kar Dekhiye.
Azmate Sarkaar Khud Pehchaan LoGe Najdiyo'n!
Aa'nkh Me Surma Baraily Ka Laga Kar Dekhiye.
Saa'ate Urse Raza Hai Bilyaqi'n Hogi Qabul,
"Saiyed Aale Mustafa" Tum Jo Dua Kar Dekhiye.
✒️ Awulaade Huzur Gause A'azam Shazaada E Huzur Zahire Millat Alam Bardaare Maslake A'ala Hazrat Pire Tariqat Hazrat Allaama Wa Maulaana
SAIYED MUHAMMAD AALE MUSTAFA DAADA BAAPU QUADIRI BARKAATI
Qadim Markaze Ahle Sunnat Khanquahe Aaliya Quadiriyyah Razzaaqiyyah Shaah Rizqullaah,Shaah Gauhar Piya
(Jafarabad,Sharif,Kathhiyawad, Gujrat,India)
More Related Kalaam
Explore more Naat Sharif, Hamd and Manqabat from this blessed collection
Paida jo agar Shafi-e-Mahshar nahin hota, Rahmat bhara aalam ka ye manzar nahin hota. Jis dil mein ho aaqa ki muhabbat ka basera,
Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina, Dikha De Dare Mustafa Ba Qarina. Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina.
Rab Ki Rahmat Idhar Kodinar Me Hai, Mustafa Ki Nazar Kodinar Me Hai. Aale Khairul Bashar Kodinar Me Hai,
Gause A'azam Ne Tujhe Gause Zamaana Kar Ke Hind Me Bheja Ye Ahsaan Hai Rizqullaah Shaah Gausiyat Waali Teri Shaan Hai Rizqullaah Shaah
