
Lyrics
Madad Ka Waqt Hai Ya Saiyedi Gauhar Piya Uthhiye,
Musibat Ne Liya Hai Gheyr Mujh Ko Aey Shaha Uthhiye.
Meri Qismat Tumhaare Did Ke Qaabil Bana Uthhiye,
Nahi'n Dekha Hu'n Tum Ko Ru Ba Ru Jalwa Dikha Uthhiye.
Manaate Hai'n Shabe Jumuah Tumhaare Naam Ki Mahfil,
Mubarak Jashn Hai Gauhar Piya Dulha Numa Uthhiye.
Balaao'n Ne Liya Hai Gheyr Mujh Ko Chaaro'n Jaanib Se,
Karam Karte Hue Aey Daafa e Jumla Bala Uthhiye.
Musibat Hi Musibat Gham Hi Gham Chhaaya Hai Is Dil Par,
Khushi Karke Ata Gham Ko Mere Aqua Hata Uthhiye.
Nahi'n Milti Hai Manzil Dil Bhatakta Chaaro'n Jaanib Hai,
Thhikaana Aap Ke Dar Ko Mere Dil Ka Bana Uthhiye.
Mere Murshid Mera Duniya Se Rukhsat Hone Ka Din Ho,
To Khud Aakar Mere Aqua Mujhe Kalma Padha Uthhiye.
Khushi Se Daudte Jaaye'nge Hum Gauhar Piya Waale,
Tumhaara Hukm Hoga Jab Ke Ab Jannat Me Ja Uthhiye.
Zahire Quadiri Ka Waasta Rakh Laaj "Saiyed" Ki,
Bachaane Aabru Pote Ki Aey Daada Piya Uthhiye.
✒️ Awulaade Huzur Gause A'azam Shahzaadah E Huzur Zahire Millat Alam Bardaare Maslake A'ala Hazrat Pire Tariqat Hazrat Allaama Wa Maulaana
SAIYED MUHAMMAD AALE MUSTAFA DAADA BAAPU QUADIRI BARKAATI
Qadim Markaze Ahle Sunnat Khanquahe Aaliya Quadiriyyah Razzaaqiyyah Shaah Rizqullaah,Shaah Gauhar Piya
(Jafarabad,Sharif,Kathhiyawad, Gujrat,India)
More Related Kalaam
Explore more Naat Sharif, Hamd and Manqabat from this blessed collection
Paida jo agar Shafi-e-Mahshar nahin hota, Rahmat bhara aalam ka ye manzar nahin hota. Jis dil mein ho aaqa ki muhabbat ka basera,
Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina, Dikha De Dare Mustafa Ba Qarina. Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina.
Rab Ki Rahmat Idhar Kodinar Me Hai, Mustafa Ki Nazar Kodinar Me Hai. Aale Khairul Bashar Kodinar Me Hai,
Gause A'azam Ne Tujhe Gause Zamaana Kar Ke Hind Me Bheja Ye Ahsaan Hai Rizqullaah Shaah Gausiyat Waali Teri Shaan Hai Rizqullaah Shaah
