Rizqullaah Shaah Ne Hamein Aisa Diya Diya
ManqabatEnglish🔥 Trending

Rizqullaah Shaah Ne Hamein Aisa Diya Diya

Saiyed Aale Mustafa

Saiyed Aale Mustafa

Qadri Barkati

Lyrics

100%

Rizqullaah Shaah Ne Hame'n Aisa Diya Diya,

Jaari Hai Jis Ka Faiz Woh Gauhar Piya Diya.

Hum Adna Gunahgaar Pe A'ala Karam Kiya,

Gauhar Piya Ne Maslake Ahmed Raza Diya.

Sidhi Sadak Milegi Bareily Se Chal Ke Ja,

Gauhar Piya Ne Jannati Rasta Dikha Diya.

Is Raah Ko Chhoda To Koi Raasta Nahi'n,

Gauhar Piya Ne Hum Ko Sabaq Yeh Sikha Diya.

Qatra Jo Kisi Ne Tere Dar Se Talab Kiya,

Faizo Karam Ka Aap Ne Dariya Baha Diya.

Dariya Nahi'n, Kuwaa'n Nahi'n, Parwardigaar Ne,

Gauhar Piya Ko Baadale Rahmat Bana Diya.

Tufaan Me Pha'nsi Thi Jo Kashti Ghulaam Ki,

Tum Ko Pukaara Aap Ne Saahil Dikha Diya.

Jo Phir Gaye Rasul Se Allaah Ne Unhe'n,

Ghuma Kare Nagar Dagar Aesi Saza Diya.

"Saiyed" Bada Karam Kiya Allaah Ne Hum Par,

Gauhar Piya Ka Haath Me Daaman Thama Diya.

✒️ Awulaade Huzur Gause A'azam Sahzaadah E Huzur Zahire Millat Alam Bardaare Maslake A'ala Hazrat Pire Tariqat Hazrat Allaama Wa Maulaana

SAIYED MUHAMMAD AALE MUSTAFA DAADA BAAPU QUADIRI BARKAATI

Qadim Markaze Ahle Sunnat Khanquahe Aaliya Quadiriyyah Razzaaqiyyah Shaah Rizqullaah, Shaah Gauhar Piya

(Jafarabad,Sharif,Kathhiyawad, Gujrat,India)

Kalaam Collection

More Related Kalaam

Explore more Naat Sharif, Hamd and Manqabat from this blessed collection

Paida Jo Agar Shafi-e-Mahshar Nahin Hota
Naat

Paida jo agar Shafi-e-Mahshar nahin hota, Rahmat bhara aalam ka ye manzar nahin hota. Jis dil mein ho aaqa ki muhabbat ka basera,

Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina
Naat

Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina, Dikha De Dare Mustafa Ba Qarina. Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina.

Rab Ki Rahmat Idhar Kodinar Me Hai
Manqabat

Rab Ki Rahmat Idhar Kodinar Me Hai, Mustafa Ki Nazar Kodinar Me Hai. Aale Khairul Bashar Kodinar Me Hai,

Gause A'azam Ne Tujhe Gause Zamaana Kar Ke
Manqabat

Gause A'azam Ne Tujhe Gause Zamaana Kar Ke Hind Me Bheja Ye Ahsaan Hai Rizqullaah Shaah Gausiyat Waali Teri Shaan Hai Rizqullaah Shaah