Lyrics
Ahle Sunnat Ki Ziya Akhtar Raza,
A'ada e Di'n Ki Qaza Akhtar Raza.
Jaanashine Mufti e A'azam Bhi Tu,
Partawe Ahmed Raza Akhtar Raza.
Haq Ko Haq Baatil Ko Baatil Hi Kaha,
Murshide Bar Haq Shaha Akhtar Raza.
Tu Ulume A'ala Hazrat Ka Dhani,
Aur Faqihul Asr Tha Akhtar Raza.
Harfe Aakhir Ka Mila us Ko Sharaf,
Tu Ne Jo Kuchh Keh Diya Akhtar Raza.
Basti Basti Qariya Qariya Hi Nahi'n,
Tera Charcha Jaa Ba Jaa Akhtar Raza.
Sham'ae Bazme Muftiyaa'n Tha Bil Yaqi'n,
Ilm Me Tu Pur Faza Akhtar Raza.
Najdiyat Ko Di Hazimat Ba Khuda,
Zarbe Faaruqi Tu Tha Akhtar Raza.
Kaa'np te The Naam Se Hi Aap Ke,
Firqaha e Baatila Akhtar Raza.
Jo Jamaale Haq Ko Bakhsha Taazgi,
Woh Raza Ka Laadla Akhtar Raza.
Shaah Ibraahim Ka Lakhte Jigar,
Maz'hare Haamid Raza Akhtar Raza.
Muftiyaane Din Ki Saf Dekhiye,
Aap Hai'n Sab Se Juda Akhtar Raza.
Rue Anwar Dekhte Hi Aap Ka,
Yaad Aata Tha Khuda Akhtar Raza.
Bil Yaqi'n Khush Bakht Hai'n Woh Sab Jinhe'n,
Aap Ka Daaman Mila Akhtar Raza.
Aap Se Tha Aaj Tak Phula Phala,
Maslake Ahmed Raza Akhtar Raza.
Phut Kar Rone Lage Ahle Sunan,
Khuld Me Jab Chal Diya Akhtar Raza.
Paa'nch Zi Qa'ada Hai Aur Shamba Ki Shab,
Jis Ghadi Rukhsat Hua Akhtar Raza.
Is Khala Ki Ab Talaafi Hi Nahi'n,
Woh Wida'a Ka Saaniha Akhtar Raza.
Baarishe Rahmat Ho Un Ki Qabr Par,
Ta Qiyaamat Ya Khuda Akhtar Raza.
Shaah Zahire Quadiri Farma Gaye,
Aap Sa Koi Na Tha Akhtar Raza.
Sunniyat Ka "Saiyed Aale Mustafa",
Bol Baala Tha Mera Akhtar Raza.
✒️ Awulade Huzur Gause A'azam Shahzaadah E Huzur Zahire Millat Alam Bardaare Maslake A'ala Hazrat Pire Tariqat Hazrat Allaama Wa Maulaana
SAIYED MUHAMMAD AALE MUSTAFA DAADA BAAPU QUADIRI BARKAATI
Qadim Markaze Ahle Sunnat Khanquahe Aaliya Quadiriyyah Razzaaqiyyah Shaah Rizqullaah,Shaah Gauhar Piya
(Jafarabad,Sharif,Kathhiyawad, Gujrat,India)