Rooh Aaqa Pe Jo Qurbaan Hui Jaati Hai
Naat SharifUrdu

Rooh Aaqa Pe Jo Qurbaan Hui Jaati Hai

Saiyed Aale Mustafa

Saiyed Aale Mustafa

Qadri Barkati

Lyrics

100%

Rooh aaqa pe jo qurbaan hui jaati hai

Haan yaqeenan wo musalman hui jaati hai

Rooh ki zindagi aaqa ki mohabbat mein hai

Un ki ulfat na ho be-jaan hui jaati hai

Dekh kar rif'at-e-sarkaar arsh-e-aazam ki

Aql angusht ba-dandaan hui jaati hai

Dekh kar aap ki raftaar shab-e-asra mein

Aql-e-Jibreel bhi hairaan hui jaati hai

Yaad aate hi shah-e-deen ka paseena dil mein

Har kali qalb ki guldān hui jaati hai

Zikr-e-sarkaar mein ash'aar kahe jaane se

Sunnat-e-Hazrat-e-Hassaan hui jaati hai

Ism-e-aaqa pe angoothon ko choom lene se

Sunnat-e-sayyid-e-insaan hui jaati hai

Al-madad Haider-e-Karrar sada sunte hi

Mushkilein khud hi nigehbaan hui jaati hai

Al-madad ya shah-e-Jeelan sada dete hi

Har kadi mushkilein aasan hui jaati hai

Khwaja-e-Hind ki hote hi nawazish mujh par

Khud ghareebi meri sultaan hui jaati hai

Hote hi nusrat-e-sarkaar Shah Rizqullah

Har pareshani pareshan hui jaati hai

Aala Hazrat se jise chadh'ta ho zoron ka bukhar

Us ki har guftagu hazyan hui jaati hai

Chhod de haath se jo maslak-e-Aala Hazrat

Us ki taqdeer ugaldaan hui jaati hai

Ishq-e-sarkaar mein deewana jo ho jaata hai

Aql us shakhs ki vidwaan hui jaati hai

Kehne lagta hai zamana hai muhibb-e-aaqa

Rooh jab sahib-e-eemaan hui jaati hai

Hum musalman hain afsos zara socho to

Masjidein phir bhi kyun veeran hui jaati hai

Ishq-e-sarkaar se aabaad kiye ja jaldi

Bastiyan dil ki bayabaan hui jaati hai

Jab ke mehshar ki sazaon ki khabar hai us ko

Phir bhi kyun zindagi anjaan hui jaati hai

Dar yaqeenan hai use roz-e-jaza ka lekin

Nafs ke zor se be-bhaan hui jaati hai

Apne aamaal ka soocha to bhala kab soocha

Rooh jab aan ki mehmaan hui jaati hai

Kal wo duniya mein inabat se bahut door rahe

Is liye naar ko chaalaan hui jaati hai

Pa liya mere gunahon ne khizan ka mausam

Rooh phir tu kyun pasheman hui jaati hai

Roo-e-taabaan liye sarkaar hi aate honge

Is liye qabr shamadaan hui jaati hai

Aap sunni hain to phir door wahabi se raho

Dost se dost ki pehchaan hui jaati hai

Aap sacche hain taqabul se to darte kyun hain

Saanch har daur mein meezaan hui jaati hai

Mujhko haasil hai yaqeenan Zaheer-e-Millat se

Na-fahm aaj jo im'aan hui jaati hai

Hai ye Gohar ki ataa "Aal-e-Mustafa" beshak

Fikr-e-"Sayyid" jo sukhan daan hui jaati hai

✒️ Awulade Huzur Gause A'azam Shazaada E Huzur Zahire Millat Alam Bardaare Maslake A'ala Hazrat Pire Tariqat Hazrat Allaama Wa Maulaana

SAIYED MUHAMMAD AALE MUSTAFA DAADA BAAPU QUADIRI BARKAATI

Qadim Markaze Ahle Sunnat Khanquahe Aaliya Quadiriyyah Razzaaqiyyah Shaah Rizqullaah, Shaah Gauhar Piya

(Jafarabad,Sharif,Kathhiyawad, Gujrat,India)

Kalaam Collection

More Related Kalaam

Explore more Naat Sharif, Hamd and Manqabat from this blessed collection

Paida Jo Agar Shafi-e-Mahshar Nahin Hota
Naat

Paida jo agar Shafi-e-Mahshar nahin hota, Rahmat bhara aalam ka ye manzar nahin hota. Jis dil mein ho aaqa ki muhabbat ka basera,

Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina
Naat

Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina, Dikha De Dare Mustafa Ba Qarina. Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina.

Rab Ki Rahmat Idhar Kodinar Me Hai
Manqabat

Rab Ki Rahmat Idhar Kodinar Me Hai, Mustafa Ki Nazar Kodinar Me Hai. Aale Khairul Bashar Kodinar Me Hai,

Gause A'azam Ne Tujhe Gause Zamaana Kar Ke
Manqabat

Gause A'azam Ne Tujhe Gause Zamaana Kar Ke Hind Me Bheja Ye Ahsaan Hai Rizqullaah Shaah Gausiyat Waali Teri Shaan Hai Rizqullaah Shaah