Noor Ka Noori Diya The Sayyidi Shahid Ali
ManqabatUrdu

Noor Ka Noori Diya The Sayyidi Shahid Ali

Saiyed Aale Mustafa

Saiyed Aale Mustafa

Qadri Barkati

Lyrics

100%

Nur Ka Nuri Diya The Saiyedi Shaahid Ali,

Sham-e-Bazme Atqiya The Saiyedi Shaahid Ali.

Koi Kya Jaane Ke Kya The Saiyedi Shaahid Ali,

Ahle Baite Mustafa The Saiyedi Shaahid Ali.

Aayate Tathir Jin Ki Shaan Me Naazil Huyi,

Gul Usi Gulzaar Ka The Saiyedi Shaahid Ali.

Bil Yaqi'n Woh Tarjamaane Maslake Ahmad Raza,

Sunniyo'n Ke Muqtada The Saiyedi Shaahid Ali.

Mufti-e-A'azam Ke Taqwe Ki Jhalak Thi Aap Me,

Haa'n Rafiqe Atqiya The Saiyedi Shaahid Ali.

Neyk Akhtar, Neyk Khaslat, Neyk Bakhto Neyk Dil,

Neyk Naamo Paarsa The Saiyedi Shaahid Ali.

Woh Yaqinan Burd baaro Saada Dil Saada Mizaaj,

Sachche Mukhlis Baa Wafa The Saiyedi Shaahid Ali.

Ahle Sunnat Ke Woh Har Ek Fard Par The Mehrba'n,

Bad Aqaaid Ki Qaza The Saiyedi Shaahid Ali.

Woh Musannif Bhi Muqarrir Bhi Mudarris Aur Imaam,

Be Misaalo Be Baha The Saiyedi Shaahid Ali.

Chal Diye Woh Aah Duniya Chhor Kar Su e Jinaa'n,

Jo Hamaara Hausala The Saiyedi Shaahid Ali.

Chaudah Sau Chaalis Hijri Thi Rajab Ikkis Jab,

Aap Dulha Khuld Ka The Saiyedi Shaahid Ali.

Mai'n Ne Un Ki Shaan Me Jo Kuchh Kaha Ash'aar Me,

Bil Yaqi'n Is Se Siwa The Saiyedi Shaahid Ali.

Aalimo Aamil Woh Zaahid Pire Kaamil, Baa Shar'a,

"Saiyed Aale Mustafa" The Saiyedi Shaahid Ali.

✒️ Awulaade Huzur Gause A'azam Shazaada E Huzur Zahire Millat Alam Bardaare Maslake A'ala Hazrat Pire Tariqat Hazrat Allaama Wa Maulaana

SAIYED MUHAMMAD AALE MUSTAFA DAADA BAAPU QUADIRI BARKAATI

Qadim Markaze Ahle Sunnat Khanquahe Aaliya Quadiriyyah Razzaaqiyyah Shaah Rizqullaah, Shaah Gauhar Piya

(Jafarabad,Sharif,Kathhiyawad Gujrat,India)

Kalaam Collection

More Related Kalaam

Explore more Naat Sharif, Hamd and Manqabat from this blessed collection

Paida Jo Agar Shafi-e-Mahshar Nahin Hota
Naat

Paida jo agar Shafi-e-Mahshar nahin hota, Rahmat bhara aalam ka ye manzar nahin hota. Jis dil mein ho aaqa ki muhabbat ka basera,

Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina
Naat

Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina, Dikha De Dare Mustafa Ba Qarina. Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina.

Rab Ki Rahmat Idhar Kodinar Me Hai
Manqabat

Rab Ki Rahmat Idhar Kodinar Me Hai, Mustafa Ki Nazar Kodinar Me Hai. Aale Khairul Bashar Kodinar Me Hai,

Gause A'azam Ne Tujhe Gause Zamaana Kar Ke
Manqabat

Gause A'azam Ne Tujhe Gause Zamaana Kar Ke Hind Me Bheja Ye Ahsaan Hai Rizqullaah Shaah Gausiyat Waali Teri Shaan Hai Rizqullaah Shaah