Haalat-e-Gussa Mein Koi Bhi Faisla Na Karo
OtherUrdu

Haalat-e-Gussa Mein Koi Bhi Faisla Na Karo

Saiyed Aale Mustafa

Saiyed Aale Mustafa

Qadri Barkati

Lyrics

100%

Haalate Gussa Me Koi Bhi Faisla Na Karo,

Khushiyo'n Ke Waqt Me Hargiz Kabhi Wa'ada Na Karo.

Dine Ahmed Me Jo Hai'n Maan Lo Har Haalat Me,

Aur Kisi Baat Ki Haalaat Ki Parwa Na Karo.

Aib Jo Dekho Wahaabi Me To Khulla Kar Do,

Rab Ki Sunnat Hai Ke Sunni Ho To Ruswa Na Karo.

Ahle Sunnat Ka Aqd Ghayr Se Hota Hi Nahi'n,

Yaad Rakho Kisi Bad Din Se Rishta Na Karo.

Dushmanaane Rasul Se Bhi Ha'ns Ke Milta Ho,

Sulhe Kulli Hai Woh Sunni Use Samjha Na Karo.

Apni Tabiat Ka Bhi Rakha Karo Thoda Sa Khayaal,

Raat Me Deyr Talak Is Tarah Jaaga Na Karo.

Thaam Lo Haath Me Bas Maslake A'ala Hazrat,

Chhor Kar Raahe Jinaa'n Aur Kahi'n Jaaya Na Karo.

Jo Bhi Paigaam Diya Hai Zahire Millat Ne,

Us Nasihat Ko Wasiyat Ko Bhulaaya Na Karo.

Bughz Rakhta Ho Jo Koi Bhi Raza Se "Saiyed",

Us Ki Tauqir Kabhi "Aale Mustafa" Na Karo.

✒️ Awulaade Huzur Gause A'azam Shazaadah E Huzur Zahire Millat Alam Bardaare Maslake A'ala Hazrat Pire Tariqat Hazrat Allaama Wa Maulaana

SAIYED MUHAMMAD AALE MUSTAFA DAADA BAAPU QUADIRI BARKAATI

Qadim Markaze Ahle Sunnat Khanquahe Aaliya Quadiriyyah Razzaaqiyyah Shaah Rizqullaah,Shaah Gauhar Piya

(Jafarabad,Sharif,Kathhiyawad, Gujrat,India)

Kalaam Collection

More Related Kalaam

Explore more Naat Sharif, Hamd and Manqabat from this blessed collection

Paida Jo Agar Shafi-e-Mahshar Nahin Hota
Naat

Paida jo agar Shafi-e-Mahshar nahin hota, Rahmat bhara aalam ka ye manzar nahin hota. Jis dil mein ho aaqa ki muhabbat ka basera,

Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina
Naat

Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina, Dikha De Dare Mustafa Ba Qarina. Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina.

Rab Ki Rahmat Idhar Kodinar Me Hai
Manqabat

Rab Ki Rahmat Idhar Kodinar Me Hai, Mustafa Ki Nazar Kodinar Me Hai. Aale Khairul Bashar Kodinar Me Hai,

Gause A'azam Ne Tujhe Gause Zamaana Kar Ke
Manqabat

Gause A'azam Ne Tujhe Gause Zamaana Kar Ke Hind Me Bheja Ye Ahsaan Hai Rizqullaah Shaah Gausiyat Waali Teri Shaan Hai Rizqullaah Shaah